Tuesday, February 21, 2012

Ek Bar Kuch Aisa hua

EK baarr Suno Kuch Aisa Hua,

Wo Mujko Mili
Main Usko Mila,

Izhar Hua,
Iqrar Hua,

Wo Dost Bani,
ham yar hue,

Use Ishq Bohat,
Muje Pyar Bohat,

Ham 2no me Takrar bohut,

Phr kch Yun Hua,

Wo chhor gaye,
Main Toot Gya,

phr kuch Yun Mili,
Wo Tanha Thi,

Main Akela Tha,
Bas Hum Do Tha,
Or Koi Na Tha,

Wo Rone Lagi,
Me Bebas Rha....
Na Pyar Na Hi Izhar Raha,

Bs Farq Sirf Itna Sa Raha,
Main mitti ka andar sota rha .........

Or,

Wo mitti k Oopr roti rahi...................


fir...

Main jaag gaya
dil kaanp gaya

woh geeli mitti
ek sapna tha
par aankhon mein paani
mera apna tha

main jaagta raha
main sochta raha

ye sapna tha
par sacha sa laga
koi gair hi sahi
par apna sa laga

agle din kuch aisa hua,

wo mujhko mili
main usko mila

maine izhaar kiya
usne sharmakar inkaar kiya

use lihaaz bahot
mujhe ikraar bahot
hum dono mein phir bhi pyaar bahot

Phr kch Yun Hua,

Wo chhor gaye,
Main Toot Gya,

phr kuch Yun Mili,
Wo Tanha Thi,

Main Akela Tha,
Bas Hum Do Tha,
Or Koi Na Tha,

main rone laga
woh bebas rahi
Na pyaar, na hi izhaar raha

bas farq sirf itna sa raha
woh mitti k andar soti rahi
or,
main mitti k upar rota raha